KHwaja piya ! more KHwaja piya !
niyaaz-o-naaz ka kaisa haseen sangam hai
jidhar Gareeb kha.De hai.n, udhar Gareeb-nawaaz
teri zaat par, tere naam par
KHwaja ! ham Gareebo.n ko naaz hai
tu ba.Da Gareeb-nawaaz hai
tu ba.Da Gareeb-nawaaz hai
tujhe tere peer ka wastaa
mujhe, KHwaja ! aisa nawaaz de
de de sadqa apni niGaah ka
ik nazar Gulaam pe Daal de
tera kaam, KHwaja ! nawaaznaa
tu sada se banda-nawaaz hai
tu ba.Da Gareeb-nawaaz hai
tu ba.Da Gareeb-nawaaz hai
meri baat KHaali na jaane de
meri baat ko, KHwaja ! aaj rakh
tere dar pe yu.n hee pa.Da rahu.n
meri baat kee, KHwaja ! laaj rakh
tera kaam, KHwaja ! nawaaznaa
tu sada se banda-nawaaz hai
tu ba.Da Gareeb-nawaaz hai
tu ba.Da Gareeb-nawaaz hai
saKHi aur bhi hai.n jahaan me.n
tere jaisa koi saKHee nahi.n
jise tu karam se nawaaz de
use do-jahaa.n me.n kamee nahi.n
bharo jholi, KHwaja ! Haneef kee
tera dast-e-jood-e-daraaz hai
tu ba.Da Gareeb-nawaaz hai
tu ba.Da Gareeb-nawaaz hai
No comments:
Post a Comment